Khuda Ki Hamd

Tere hi faiz se hai har simt me ujala
Tera hi zikr hai bas tera hi bol bala

Ye sarzameen banayee, ye aasman banaya
Apne karam se tune sara jahan banaya
Is Sarzameen pe tune sabza bichha diya aur
Us Aasman ko tune taron se hain sajaya

Di zindagi tumhi ne, kiya rahmaton ka saya
Phoolon me rang-o-khushbu, sabjah kheton me lahlahaya
Chiryon ko di taqat-e-parwaz, hume bolna sikhaya
Lahron me chalet kashtiyon ko sahil pe aa lagaya

Nadiyon ki wo masti, daryaon me rawani
Taron ki timtimahat, hai teri maharbani
Mausam ka wo badalna, suraj ka chamakna
Tu Khaliq-e-jahan hai, nahin tera koi saani

Quran ki si daulat jo di hai tune humko
Hume apni manzilon ka sidha rasta mila hai
Hum sab musafiron ko jana hai paas tere
Meri zindagi ka yarab ek tu hi aasra hai.


                                                                 - Owais Ahmad