Manzil se aage badhkar manzil talaash kar

Manzil se aage badhkar manzil talaash kar
Mil jaaye tujhko darya to samandar talaash kar

Har shisha toot jata hai patthar ki chot se
Patthar bhi toot jaye wo shisha talaash kar

Sajdon se tere kya hua sadiyan guzar gayein
Duniya teri badal de wo sajda talaash kar

Eiman tera lut gaya rahzan ke haathon se
Eiman tera bachale wo rahbar talaash kar

Har shakhs jal raha hai adawat ki aag mein
Us aag ko bujhade wo paani talaash kar

Kare sawaar aoont pe apne Ghulam ko
Paidal hi khud chale jo wo aaqa talaash kar.